nikhat-e-zulf se nindon ko basa de aa kar
nik.hat-e-zulf se nīñdoñ ko basā de aa kar
merī jaagī huī rātoñ ko sulā de aa kar
fikr-e-fardā o ġham-e-dosh bhulā de aa kar
phir usī naaz se dīvāna banā de aa kar
'ishq ko naġhma-e-ummīd sunā de aa kar
dil kī soī huī qismat ko jagā de aa kar
kis qadar tiira o tārīk hai duniyā-e-hayāt
jalva-e-husn se ik sham' jalā de aa kar
'ishq kī chāñdnī rāteñ mujhe yaad aatī haiñ
umr-e-rafta ko mirī mujh se milā de aa kar
zindagī ban ke mire dil meñ samā jā salmā
maut ik parda hai ye parda uThā de aa kar
aag sī dil meñ lagā jaatā hai terā har ḳhat
aa mire ḳhirman-e-hastī ko jalā de aa kar
terī furqat meñ mire she'r haiñ kitne ġhamgīñ
muskurātī huī nazroñ se hañsā de aa kar
phir vahī ham hoñ vahī din hoñ vahī rāteñ hoñ
ahd-e-rafta ko phir ā.īna dikhā de aa kar
shauq-e-nādīda meñ lazzat hai magar naaz nahīñ
aa mire 'ishq ko maġhrūr banā de aa kar
shab-e-furqat pe mirī hañste haiñ ai ḳhanda-e-nūr
mere qadmoñ pe sitāroñ ko girā de aa kar
tishna-e-husn huuñ ai sāqī-mai-ḳhāna-e-husn
apne hoñToñ se phir ik jaam pilā de aa kar
kab talak raunaq-e-shām-e-avadh ai māh-e-ravāñ
shām-e-lahore ko bhī sub.h banā de aa kar
ho chukī sair-e-bahārāñ-kada-e-qaisar-bāġh
bāġh-e-lawrence meñ bhī phuul khilā de aa kar
gomtī dekh chukī jalva-e-āriz kī bahār
sat.h-e-rāvī ko bhī ā.īna banā de aa kar
terā rūmān nayā ḳhvāb hai 'aḳhtar' ke liye
aa aur is ḳhvāb kī tā'bīr batā de aa kar
nikhat-e-zulf se nindon ko basa de aa kar
meri jagi hui raaton ko sula de aa kar
fikr-e-farda o gham-e-dosh bhula de aa kar
phir usi naz se diwana bana de aa kar
'ishq ko naghma-e-ummid suna de aa kar
dil ki soi hui qismat ko jaga de aa kar
kis qadar tera o tarik hai duniya-e-hayat
jalwa-e-husn se ek sham' jala de aa kar
'ishq ki chandni raaten mujhe yaad aati hain
umr-e-rafta ko meri mujh se mila de aa kar
zindagi ban ke mere dil mein sama ja salma
maut ek parda hai ye parda uTha de aa kar
aag si dil mein laga jata hai tera har KHat
aa mere KHirman-e-hasti ko jala de aa kar
teri furqat mein mere she'r hain kitne ghamgin
muskuraati hui nazron se hansa de aa kar
phir wahi hum hon wahi din hon wahi raaten hon
ahd-e-rafta ko phir aaina dikha de aa kar
shauq-e-nadida mein lazzat hai magar naz nahin
aa mere 'ishq ko maghrur bana de aa kar
shab-e-furqat pe meri hanste hain ai KHanda-e-nur
mere qadmon pe sitaron ko gira de aa kar
tishna-e-husn hun ai saqi-mai-KHana-e-husn
apne honTon se phir ek jam pila de aa kar
kab talak raunaq-e-sham-e-awadh ai mah-e-rawan
sham-e-lahore ko bhi subh bana de aa kar
ho chuki sair-e-bahaaran-kada-e-qaisar-bagh
bagh-e-lawrence mein bhi phul khila de aa kar
gomti dekh chuki jalwa-e-ariz ki bahaar
sath-e-rawi ko bhi aaina bana de aa kar
tera ruman naya KHwab hai 'aKHtar' ke liye
aa aur is KHwab ki ta'bir bata de aa kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.