nind raaton ki uDa dete hain
niiñd rātoñ kī uḌā dete haiñ
ham sitāroñ ko duā dete haiñ
roz achchhe nahīñ lagte aañsū
ḳhaas mauqoñ pe mazā dete haiñ
ab ke ham jaan laḌā baiTheñge
dekheñ ab kaun sazā dete haiñ
haa.e vo log jo dekhe bhī nahīñ
yaad aa.eñ to rulā dete haiñ
dī hai ḳhairāt usī dar se kabhī
ab usī dar pe sadā dete haiñ
aag apne hī lagā sakte haiñ
ġhair to sirf havā dete haiñ
kitne chālāk haiñ ḳhūbāñ 'alvī'
ham ko ilzām-e-vafā dete haiñ
nind raaton ki uDa dete hain
hum sitaron ko dua dete hain
roz achchhe nahin lagte aansu
KHas mauqon pe maza dete hain
ab ke hum jaan laDa baiThenge
dekhen ab kaun saza dete hain
hae wo log jo dekhe bhi nahin
yaad aaen to rula dete hain
di hai KHairaat usi dar se kabhi
ab usi dar pe sada dete hain
aag apne hi laga sakte hain
ghair to sirf hawa dete hain
kitne chaalak hain KHuban 'alwi'
hum ko ilzam-e-wafa dete hain
- Book : Lifaafe Mein Raushni (Pg. 24)
- Author :Mohammad Alvi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.