waqt-e-ghurub aaj karamat ho gai
vaqt-e-ġhurūb aaj karāmāt ho ga.ī
zulfoñ ko us ne khol diyā raat ho ga.ī
kal tak to us meñ aisī karāmat na thī koī
vo aañkh aaj qibla-e-hājāt ho ga.ī
ai soz-e-ishq tū ne mujhe kyā banā diyā
merī har ek saañs munājāt ho ga.ī
ochhī nigāh Daal ke ik samt rakh diyā
dil kyā diyā ġharīb kī sauġhāt ho ga.ī
kuchh yaad aa ga.ī thī vo zulf-e-shikan-shikan
hastī tamām chashma-e-zulmāt ho ga.ī
ahl-e-vatan se duur judā.ī meñ yaar kī
sabr aa gayā 'firāq' karāmāt ho ga.ī
waqt-e-ghurub aaj karamat ho gai
zulfon ko us ne khol diya raat ho gai
kal tak to us mein aisi karamat na thi koi
wo aankh aaj qibla-e-hajat ho gai
ai soz-e-ishq tu ne mujhe kya bana diya
meri har ek sans munajat ho gai
ochhi nigah Dal ke ek samt rakh diya
dil kya diya gharib ki saughat ho gai
kuchh yaad aa gai thi wo zulf-e-shikan-shikan
hasti tamam chashma-e-zulmat ho gai
ahl-e-watan se dur judai mein yar ki
sabr aa gaya 'firaq' karamat ho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.