kya kah gai kisi ki nazar kuchh na puchhiye
kyā kah ga.ī kisī kī nazar kuchh na pūchhiye
kyā kuchh huā hai dil pe asar kuchh na pūchhiye
vo dekhnā kisī kā kanakhiyoñ se baar baar
vo baar baar us kā asar kuchh na pūchhiye
ro ro ke kis tarah se kaTī raat kyā kaheñ
mar mar ke kaise kī hai sahar kuchh na pūchhiye
'aḳhtar' dayār-e-husn meñ pahuñche haiñ mar ke ham
kyūñ-kar huā hai tai ye safar kuchh na pūchhiye
kya kah gai kisi ki nazar kuchh na puchhiye
kya kuchh hua hai dil pe asar kuchh na puchhiye
wo dekhna kisi ka kanakhiyon se bar bar
wo bar bar us ka asar kuchh na puchhiye
ro ro ke kis tarah se kaTi raat kya kahen
mar mar ke kaise ki hai sahar kuchh na puchhiye
'aKHtar' dayar-e-husn mein pahunche hain mar ke hum
kyun-kar hua hai tai ye safar kuchh na puchhiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.