pichhle baras tum sath the mere aur december tha
pichhle baras tum saath the mere aur december thā
mahke hue din-rāt the mere aur december thā
chāñdnī-rāt thī sard havā se khiḌkī bajtī thī
un hāthoñ meñ haath the mere aur december thā
bārish kī būñdoñ se dil pe dastak hotī thī
sab mausam barsāt the mere aur december thā
bhīgī zulfeñ bhīgā āñchal niiñd thī āñkhoñ meñ
kuchh aise hālāt the mere aur december thā
dhīre dhīre bhaḌak rahī thī ātish-dān kī aag
bahke hue jazbāt the mere aur december thā
pyaar bharī nazroñ se 'farah' jab us ne dekhā thā
bas vo hī lamhāt the mere aur december thā
pichhle baras tum sath the mere aur december tha
mahke hue din-raat the mere aur december tha
chandni-raat thi sard hawa se khiDki bajti thi
un hathon mein hath the mere aur december tha
barish ki bundon se dil pe dastak hoti thi
sab mausam barsat the mere aur december tha
bhigi zulfen bhiga aanchal nind thi aankhon mein
kuchh aise haalat the mere aur december tha
dhire dhire bhaDak rahi thi aatish-dan ki aag
bahke hue jazbaat the mere aur december tha
pyar bhari nazron se 'farah' jab us ne dekha tha
bas wo hi lamhat the mere aur december tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.