nahin kaam rakhna koi dil lagi se yakum january se
nahīñ kaam rakhnā koī dil lagī se yakum january se
guzarnā nahīñ ab tumhārī galī se yakum january se
guzishta baras sab ke naḳhre uThā.e magar kuchh na paayā
nahīñ mujh ko karnī mohabbat kisī se yakum january se
december ke āḳhir meñ apne gunāhoñ se tauba karūñgā
farishta hī ban jā.uñgā aadmī se yakum january se
ḳhushī kyā manā.ūñ ki dil ġham-zada hai na.e saal par bhī
ki ik come huā hai baras zindagī se yakum january se
nahin kaam rakhna koi dil lagi se yakum january se
guzarna nahin ab tumhaari gali se yakum january se
guzishta baras sab ke naKHre uThae magar kuchh na paya
nahin mujh ko karni mohabbat kisi se yakum january se
december ke aaKHir mein apne gunahon se tauba karunga
farishta hi ban jaunga aadmi se yakum january se
KHushi kya manaun ki dil gham-zada hai nae sal par bhi
ki ek come hua hai baras zindagi se yakum january se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.