nazar kisi ko wo mu-e-kamar nahin aata
nazar kisī ko vo mū-e-kamar nahīñ aatā
ba-rañg-e-tār-e-nazar hai nazar nahīñ aatā
zamāna-e-ġham-e-furqat basar nahīñ aatā
ajal bhī aatī nahīñ yaar agar nahīñ aatā
hamesha huuñ bhī maiñ rotā ba-rañg-e-shabnam-o-abr
galī se kaun tire chashm-tar nahīñ aatā
ye hai nigāh se dar-parda teġh-zan qātil
ki iltiyām ye zaḳhm-e-jigar nahīñ aatā
ġham-e-firāq meñ mar mar ke roz jiitā huuñ
vo kaun shab hai jo muñh tak jigar nahīñ aatā
faqat na naam se chaltā hai kaam duniyā meñ
ki zer-e-sikka kabhī gul kā zar nahīñ aatā
vo laḌ ke milte nahīñ mil ke ham pakaḌte nahīñ
vo sulh karte nahīñ ham ko shar nahīñ aatā
firāq-e-zulf meñ roz uTh ke shab ko rotā huuñ
ki sar se gesū-e-shab tā-kamar nahīñ aatā
vo shāh-e-husn ḳhafā ho.e 'arsh' kahtā hai
girā jo paañv pe kyuuñ us kā sar nahīñ aatā
nazar kisi ko wo mu-e-kamar nahin aata
ba-rang-e-tar-e-nazar hai nazar nahin aata
zamana-e-gham-e-furqat basar nahin aata
ajal bhi aati nahin yar agar nahin aata
hamesha hun bhi main rota ba-rang-e-shabnam-o-abr
gali se kaun tere chashm-tar nahin aata
ye hai nigah se dar-parda tegh-zan qatil
ki iltiyam ye zaKHm-e-jigar nahin aata
gham-e-firaq mein mar mar ke roz jita hun
wo kaun shab hai jo munh tak jigar nahin aata
faqat na nam se chalta hai kaam duniya mein
ki zer-e-sikka kabhi gul ka zar nahin aata
wo laD ke milte nahin mil ke hum pakaDte nahin
wo sulh karte nahin hum ko shar nahin aata
firaq-e-zulf mein roz uTh ke shab ko rota hun
ki sar se gesu-e-shab ta-kamar nahin aata
wo shah-e-husn KHafa hoe 'arsh' kahta hai
gira jo panw pe kyun us ka sar nahin aata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.