Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nazar ka mil ke Takrana na tum bhule na hum bhule

kanval Dibaivi

nazar ka mil ke Takrana na tum bhule na hum bhule

kanval Dibaivi

MORE BYkanval Dibaivi

    nazar mil ke Takrānā na tum bhūle na ham bhūle

    mohabbat vo afsāna na tum bhūle na ham bhūle

    satāyā thā hameñ kitnā zamāne ke taġhayyur ne

    zamāne badal jaanā na tum bhūle na ham bhūle

    bharī barsāt meñ paiham judā.ī ke tasavvur se

    vo mil kar ashk barsānā na tum bhūle na ham bhūle

    bahāreñ gulsitāñ raas jab ham ko na aa.ī thiiñ

    ḳhizāñ se dil bahlānā na tum bhūle na ham bhūle

    guzārīñ kitnī rāteñ gin ke taare dard-e-furqat meñ

    judā.ī vo afsāna na tum bhūle na ham bhūle

    fareb-e-ārzū khānā fitrat hai mohabbat

    fareb-e-ārzū khānā na tum bhūle na ham bhūle

    hañsī meñ kaTtī thiiñ rāteñ ḳhushī meñ din guzartā thā

    'kañval' maazī afsāna na tum bhūle na ham bhūle

    nazar ka mil ke Takrana na tum bhule na hum bhule

    mohabbat ka wo afsana na tum bhule na hum bhule

    sataya tha hamein kitna zamane ke taghayyur ne

    zamane ka badal jaana na tum bhule na hum bhule

    bhari barsat mein paiham judai ke tasawwur se

    wo mil kar ashk barsana na tum bhule na hum bhule

    bahaaren gulsitan ki ras jab hum ko na aai thin

    KHizan se dil ka bahlana na tum bhule na hum bhule

    guzarin kitni raaten gin ke tare dard-e-furqat mein

    judai ka wo afsana na tum bhule na hum bhule

    fareb-e-arzu khana hi fitrat hai mohabbat ki

    fareb-e-arzu khana na tum bhule na hum bhule

    hansi mein kaTti thin raaten KHushi mein din guzarta tha

    'kanwal' mazi ka afsana na tum bhule na hum bhule

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now