aahan ki surKH tal pe hum raqs kar gae
aahan kī surḳh taal pe ham raqs kar ga.e
taqdīr terī chaal pe ham raqs kar ga.e
panchhī bane to rif.at-e-aflāk par uḌe
ahl-e-zamīñ ke haal pe ham raqs kar ga.e
kāñToñ se ehtijāj kiyā hai kuchh is tarah
gulshan kī Daal Daal pe ham raqs kar ga.e
vaa.iz fareb-e-shauq ne ham ko lubhā liyā
firdaus ke ḳhayāl pe ham raqs kar ga.e
har e'tibār-e-husn-e-nazar se guzar ga.e
har halqa-hā-e-jāl pe ham raqs kar ga.e
māñgā bhī kyā to qatra-e-chashm-e-tasarrufāt
'sāġhar' tire savāl pe ham raqs kar ga.e
aahan ki surKH tal pe hum raqs kar gae
taqdir teri chaal pe hum raqs kar gae
panchhi bane to rifat-e-aflak par uDe
ahl-e-zamin ke haal pe hum raqs kar gae
kanTon se ehtijaj kiya hai kuchh is tarah
gulshan ki Dal Dal pe hum raqs kar gae
waiz fareb-e-shauq ne hum ko lubha liya
firdaus ke KHayal pe hum raqs kar gae
har e'tibar-e-husn-e-nazar se guzar gae
har halqa-ha-e-jal pe hum raqs kar gae
manga bhi kya to qatra-e-chashm-e-tasarrufat
'saghar' tere sawal pe hum raqs kar gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.