narm faza ki karwaTen dil ko dukha ke rah gain
narm fazā kī karvaTeñ dil ko dukhā ke rah ga.iiñ
ThanDī havā.eñ bhī tirī yaad dilā ke rah ga.iiñ
shaam bhī thī dhuāñ dhuāñ husn bhī thā udaas udaas
dil ko ka.ī kahāniyāñ yaad sī aa ke rah ga.iiñ
mujh ko ḳharāb kar ga.iiñ nīm-nigāhiyāñ tirī
mujh se hayāt o maut bhī āñkheñ churā ke rah ga.iiñ
husn-e-nazar-fareb meñ kis ko kalām thā magar
terī adā.eñ aaj to dil meñ samā ke rah ga.iiñ
tab kahīñ kuchh pata chalā sidq-o-ḳhulūs-e-husn kā
jab vo nigāheñ ishq se bāteñ banā ke rah ga.iiñ
tere ḳhirām-e-nāz se aaj vahāñ chaman khile
fasleñ bahār kī jahāñ ḳhaak uḌā ke rah ga.iiñ
pūchh na un nigāhoñ kī turfa karishma-sāziyāñ
fitne sulā ke rah ga.iiñ fitne jagā ke rah ga.iiñ
tāroñ kī aañkh bhī bhar aa.ī merī sadā-e-dard par
un kī nigāheñ bhī tirā naam batā ke rah ga.iiñ
uf ye zamīñ kī gardisheñ aah ye ġham kī Thokareñ
ye bhī to baḳht-e-ḳhufta ke shāne hilā ke rah ga.iiñ
aur to ahl-e-dard kaun sambhāltā bhalā
haañ terī shādmāniyāñ un ko rulā ke rah ga.iiñ
yaad kuchh aa.iiñ is tarah bhūlī huī kahāniyāñ
kho.e hue diloñ meñ aaj dard uThā ke rah ga.iiñ
sāz-e-nashāt-e-zindagī aaj laraz laraz uThā
kis kī nigāheñ ishq kā dard sunā ke rah ga.iiñ
tum nahīñ aa.e aur raat rah ga.ī raah dekhtī
tāroñ kī mahfileñ bhī aaj āñkheñ bichhā ke rah ga.iiñ
jhuum ke phir chalīñ havā.eñ vajd meñ aa.iiñ phir fazā.eñ
phir tirī yaad kī ghaTā.eñ sīnoñ pe chhā ke rah ga.iiñ
qalb o nigāh kī ye iid uf ye ma.āl-e-qurb-o-dīd
charḳh kī gardisheñ tujhe mujh se chhupā ke rah ga.iiñ
phir haiñ vahī udāsiyāñ phir vahī suunī kā.enāt
ahl-e-tarab kī mahfileñ rañg jamā ke rah ga.iiñ
kaun sukūn de sakā ġham-zadagān-e-ishq ko
bhīgtī rāteñ bhī 'firāq' aag lagā ke rah ga.iiñ
narm faza ki karwaTen dil ko dukha ke rah gain
ThanDi hawaen bhi teri yaad dila ke rah gain
sham bhi thi dhuan dhuan husn bhi tha udas udas
dil ko kai kahaniyan yaad si aa ke rah gain
mujh ko KHarab kar gain nim-nigahiyan teri
mujh se hayat o maut bhi aankhen chura ke rah gain
husn-e-nazar-fareb mein kis ko kalam tha magar
teri adaen aaj to dil mein sama ke rah gain
tab kahin kuchh pata chala sidq-o-KHulus-e-husn ka
jab wo nigahen ishq se baaten bana ke rah gain
tere KHiram-e-naz se aaj wahan chaman khile
faslen bahaar ki jahan KHak uDa ke rah gain
puchh na un nigahon ki turfa karishma-saziyan
fitne sula ke rah gain fitne jaga ke rah gain
taron ki aankh bhi bhar aai meri sada-e-dard par
un ki nigahen bhi tera nam bata ke rah gain
uf ye zamin ki gardishen aah ye gham ki Thokaren
ye bhi to baKHt-e-KHufta ke shane hila ke rah gain
aur to ahl-e-dard kaun sambhaalta bhala
han teri shadmaniyan un ko rula ke rah gain
yaad kuchh aain is tarah bhuli hui kahaniyan
khoe hue dilon mein aaj dard uTha ke rah gain
saz-e-nashat-e-zindagi aaj laraz laraz uTha
kis ki nigahen ishq ka dard suna ke rah gain
tum nahin aae aur raat rah gai rah dekhti
taron ki mahfilen bhi aaj aankhen bichha ke rah gain
jhum ke phir chalin hawaen wajd mein aain phir fazaen
phir teri yaad ki ghaTaen sinon pe chha ke rah gain
qalb o nigah ki ye id uf ye maal-e-qurb-o-did
charKH ki gardishen tujhe mujh se chhupa ke rah gain
phir hain wahi udasiyan phir wahi suni kaenat
ahl-e-tarab ki mahfilen rang jama ke rah gain
kaun sukun de saka gham-zadagan-e-ishq ko
bhigti raaten bhi 'firaq' aag laga ke rah gain
- Book : Gul-e-Naghma (Pg. 64)
- Author : Firaq Gorakhpuri
- Publication : Maktaba Farogh-e-urdu Matia Mahal Jama Masjid Delhi (2006)
- Edition : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.