naqab-e-ruKH uThaya ja raha hai
naqāb-e-ruḳh uThāyā jā rahā hai
ghaTā meñ chāñd aayā jā rahā hai
zamāne kī nigāhoñ meñ samo kar
mujhe dil se bhulāyā jā rahā hai
kahāñ kā jaam jab yaañ zauq-e-mastī
nigāhoñ se pilāyā jā rahā hai
abhī armān kuchh baaqī haiñ dil meñ
mujhe phir āzmāyā jā rahā hai
pilā kar phir sharāb-e-husn-o-jalva
mujhe be-ḳhud banāyā jā rahā hai
salāmat aap kā jaur-e-musalsal
mire dil ko dukhāyā jā rahā hai
'shakeb' ab vo tasavvur meñ na aa.eñ
kaleja muñh ko aayā jā rahā hai
naqab-e-ruKH uThaya ja raha hai
ghaTa mein chand aaya ja raha hai
zamane ki nigahon mein samo kar
mujhe dil se bhulaya ja raha hai
kahan ka jam jab yan zauq-e-masti
nigahon se pilaya ja raha hai
abhi arman kuchh baqi hain dil mein
mujhe phir aazmaya ja raha hai
pila kar phir sharab-e-husn-o-jalwa
mujhe be-KHud banaya ja raha hai
salamat aap ka jaur-e-musalsal
mere dil ko dukhaya ja raha hai
'shakeb' ab wo tasawwur mein na aaen
kaleja munh ko aaya ja raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.