nahin KHasta-haali pe na-mutmain hum
nahīñ ḳhasta-hālī pe nā-mutma.in ham
yahī TaaT maḳhmal yahī TaaT resham
ham achchhī tarah jānte haiñ ye nāseh
ki sachchā.ī kā ajr hai sāġhar-e-sam
kisī haal meñ bhī rakhe rakhne vaalā
bhalā dahr meñ kyā ḳhushī aur kyā ġham
nahīñ apnī ġhā.eb-dimāġhī pe hairat
mohabbat meñ hotā hai aksar ye aalam
koī shor sā dil meñ rahtā hai barpā
damā-dam damā-dam damā-dam damā-dam
rahe tazkire amn ke āshtī ke
magar bastiyoñ par baraste rahe bam
kahāñ chain se aaj duniyā meñ koī
ye jannat banā dī ga.ī hai jahannam
na guzrā kabhī ek lamha sukūñ se
mohabbat meñ aa.e vo din-rāt paiham
nahin KHasta-haali pe na-mutmain hum
yahi TaT maKHmal yahi TaT resham
hum achchhi tarah jaante hain ye naseh
ki sachchai ka ajr hai saghar-e-sam
kisi haal mein bhi rakhe rakhne wala
bhala dahr mein kya KHushi aur kya gham
nahin apni ghaeb-dimaghi pe hairat
mohabbat mein hota hai aksar ye aalam
koi shor sa dil mein rahta hai barpa
dama-dam dama-dam dama-dam dama-dam
rahe tazkire amn ke aashti ke
magar bastiyon par baraste rahe bam
kahan chain se aaj duniya mein koi
ye jannat bana di gai hai jahannam
na guzra kabhi ek lamha sukun se
mohabbat mein aae wo din-raat paiham
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.