nahin hawa mein ye bu nafa-e-KHutan ki si
nahīñ havā meñ ye bū nāfa-e-ḳhutan kī sī
lapaT hai ye to kisī zulf-e-pur-shikan kī sī
maiñ hañs ke is liye muñh chūmtā huuñ ġhunche kā
ki kuchh nishānī hai us meñ tire dahan kī sī
ḳhudā ke vāste gul ko na mere haath se lo
mujhe bū aatī hai is meñ kisī badan kī sī
hazār tan ke chaleñ bāñke ḳhūb-rū lekin
kisī meñ aan nahīñ tere bāñkpan kī sī
mujhe to us pe nihāyat hī rashk aatā hai
ki jis ke haath ne poshāk tere tan kī sī
kahā jo tum ne ki mankā Dhalā to ā.ūñgā
hai baat kuchh na kuchh is meñ bhī makr-o-fan kī sī
vagarna sach hai to ai jaan itnī muddat meñ
yahī bas ek kahī tum ne mere man kī sī
vo dekh shaiḳh ko lā-haul paḌh ke kahtā hai
''ye aa.e dekhiye dāḌhī lagā.e san kī sii''
kahāñ tū aur kahāñ us parī kā vasl 'nazīr'
miyāñ tū chhoḌ ye bāteñ divāne-pan kī sī
nahin hawa mein ye bu nafa-e-KHutan ki si
lapaT hai ye to kisi zulf-e-pur-shikan ki si
main hans ke is liye munh chumta hun ghunche ka
ki kuchh nishani hai us mein tere dahan ki si
KHuda ke waste gul ko na mere hath se lo
mujhe bu aati hai is mein kisi badan ki si
hazar tan ke chalen banke KHub-ru lekin
kisi mein aan nahin tere bankpan ki si
mujhe to us pe nihayat hi rashk aata hai
ki jis ke hath ne poshak tere tan ki si
kaha jo tum ne ki manka Dhala to aaunga
hai baat kuchh na kuchh is mein bhi makr-o-fan ki si
wagarna sach hai to ai jaan itni muddat mein
yahi bas ek kahi tum ne mere man ki si
wo dekh shaiKH ko la-haul paDh ke kahta hai
ye aae dekhiye daDhi lagae san ki si
kahan tu aur kahan us pari ka wasl 'nazir'
miyan tu chhoD ye baaten diwane-pan ki si
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.