nae dinon ke nae sahifon mein zikr-e-mehr-o-wafa nahin hai
na.e dinoñ ke na.e sahīfoñ meñ zikr-e-mehr-o-vafā nahīñ hai
mohabbatoñ kī jasāratoñ kī sazā nahīñ hai jazā nahīñ hai
nigāh ke shoḳh-pan ko begānagī kā aaseb Das gayā hai
muġhāyrat kā fusūñ-zada dil junūñ ke shāyāñ rahā nahīñ hai
koī bhī sajnī kisī bhī sājan kī muntazir hai na muztarib hai
tamām baam aur dar bujhe haiñ kahīñ bhī raushan diyā nahīñ hai
hayāt ke pur-jamāl manzar pe koī nutq aur qalam na mahkā
nayā qalamkār nudrat-e-fan kī ḳhushbuoñ par fidā nahīñ hai
yahīñ pe kal ham se tum se yaaro muaddatoñ ko janam milā thā
dayār-e-yārāñ vahī hai lekin koī vafā-āshnā nahīñ hai
visāl-ghaḌiyoñ firāq-lamhoñ ke ġham, tarab sab fasānche haiñ
milan kā aur nā-milan kā sukh dukh diloñ kī tah meñ chhupā nahīñ hai
maiñ dair o ka.aba meñ DhūñD aayā to maiñ ne paayā ye ilm o irfāñ
maiñ ek insāñ huuñ merī hastī se koī hastī varā nahīñ hai
vo chashm-e-bīnā kī manzileñ thiiñ ye kor-chashmī ke marhale haiñ
purānī pahchān mar ga.ī hai kisī se koī milā nahīñ hai
nae dinon ke nae sahifon mein zikr-e-mehr-o-wafa nahin hai
mohabbaton ki jasaraton ki saza nahin hai jaza nahin hai
nigah ke shoKH-pan ko beganagi ka aaseb Das gaya hai
mughayrat ka fusun-zada dil junun ke shayan raha nahin hai
koi bhi sajni kisi bhi sajan ki muntazir hai na muztarib hai
tamam baam aur dar bujhe hain kahin bhi raushan diya nahin hai
hayat ke pur-jamal manzar pe koi nutq aur qalam na mahka
naya qalamkar nudrat-e-fan ki KHushbuon par fida nahin hai
yahin pe kal hum se tum se yaro muaddaton ko janam mila tha
dayar-e-yaran wahi hai lekin koi wafa-ashna nahin hai
visal-ghaDiyon firaq-lamhon ke gham, tarab sab fasanche hain
milan ka aur na-milan ka sukh dukh dilon ki tah mein chhupa nahin hai
main dair o kaba mein DhunD aaya to main ne paya ye ilm o irfan
main ek insan hun meri hasti se koi hasti wara nahin hai
wo chashm-e-bina ki manzilen thin ye kor-chashmi ke marhale hain
purani pahchan mar gai hai kisi se koi mila nahin hai
- Book : Beesveen Sadi Ki Behtareen Ishqiya Ghazlen (Pg. 55)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.