nae des ka rang naya tha
na.e des kā rang nayā thā
dhartī se ākāsh milā thā
duur ke dariyāoñ kā sonā
hare samundar meñ girtā thā
chaltī nadiyāñ gaate nauke
nokoñ meñ ik shahr basā thā
nauke hī meñ rain-baserā
nauke hī meñ din kaTtā thā
naukā hī bachchoñ kā jhūlā
naukā hī piirī kā asā thā
machhlī jaal meñ taḌap rahī thī
naukā lahroñ meñ uljhā thā
hañstā paanī rotā paanī
mujh ko āvāzeñ detā thā
tere dhyān kī kashtī le kar
maiñ ne dariyā paar kiyā thā
nae des ka rang naya tha
dharti se aakash mila tha
dur ke dariyaon ka sona
hare samundar mein girta tha
chalti nadiyan gate nauke
nokon mein ek shahr basa tha
nauke hi mein rain-basera
nauke hi mein din kaTta tha
nauka hi bachchon ka jhula
nauka hi piri ka asa tha
machhli jal mein taDap rahi thi
nauka lahron mein uljha tha
hansta pani rota pani
mujh ko aawazen deta tha
tere dhyan ki kashti le kar
main ne dariya par kiya tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.