nayab chiz kaun si bazar mein nahin
nāyāb chiiz kaun sī bāzār meñ nahīñ
lekin maiñ un ke chand ḳharīdār meñ nahīñ
chhū kar bulandiyoñ ko palaTnā hai ab mujhe
khāne ko mere ghaas bhī kohsār meñ nahīñ
aatā thā jis ko dekh ke tasvīr kā ḳhayāl
ab to vo kiil bhī mirī dīvār meñ nahīñ
irfān-o-āgahī kī ye ham kis havā meñ haiñ
jumbish tak us ke parda-e-asrār meñ nahīñ
uglā sā mujh meñ shauq-e-shahādat nahīñ agar
pahlī sī kaaT bhī tirī talvār meñ nahīñ
nayab chiz kaun si bazar mein nahin
lekin main un ke chand KHaridar mein nahin
chhu kar bulandiyon ko palaTna hai ab mujhe
khane ko mere ghas bhi kohsar mein nahin
aata tha jis ko dekh ke taswir ka KHayal
ab to wo kil bhi meri diwar mein nahin
irfan-o-agahi ki ye hum kis hawa mein hain
jumbish tak us ke parda-e-asrar mein nahin
ugla sa mujh mein shauq-e-shahadat nahin agar
pahli si kaT bhi teri talwar mein nahin
- Book : Kulliyat-e-Rahi (Pg. 221)
- Author : Ghulam Murtaza Rahi
- Publication : Educational Publishing House (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.