Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na-fahmi apni parda hai didar ke liye

Haidar Ali Aatish

na-fahmi apni parda hai didar ke liye

Haidar Ali Aatish

MORE BYHaidar Ali Aatish

    nā-fahmī apnī parda hai dīdār ke liye

    varna koī naqāb nahīñ yaar ke liye

    nūr-e-tajallī hai tire ruḳhsār ke liye

    āñkheñ marī kalīm haiñ dīdār ke liye

    fidye bahut us abrū-e-ḳhamdār ke liye

    chū rang kamī nahīñ talvār ke liye

    qaul apnā hai ye sub.ha-o-zunnār ke liye

    do phande haiñ ye kāfir-o-dīñ-dār ke liye

    lutf-e-chaman hai bulbul-e-gulzār ke liye

    kaifīyat-e-sharāb hai mai-ḳhvār ke liye

    serī na hogī tishna-e-dīdār ke liye

    paanī nahīñ chah-e-zaqan-e-yār ke liye

    utnī hai numūd mirī yaar ke liye

    shohra hai jis qadar mare ash.ār ke liye

    dasht-e-adam se aate haiñ bāġh-e-jahāñ meñ ham

    be-dāġh lāla-o-gul-e-be-ḳhār ke liye

    shamshād apne turre ko beche to lījiye

    us laala ro lipaTtī dastār ke liye

    do āñkheñ chehre par nahīñ tere faqīr ke

    do Thekre haiñ bhiik ke dīdār ke liye

    surma lagāyā kījiye āñkhoñ meñ mehrbāñ

    iksīr ye sufūf hai bīmār ke liye

    halqe meñ zulf-e-yār motī piroiye

    dandāñ zarūr haiñ dahan-e-mār ke liye

    guft-o-shunīd meñ huuñ basar din bahār ke

    gul ke liye hai gosh zabāñ ḳhaar ke liye

    be-yār sar paTakne se hiltā hai ghar mirā

    rahtā hai zalzala dar-o-dīvār ke liye

    baiThā jo us ke saa.e meñ dīvāna ho gayā

    saaya parī hai tirī dīvār ke liye

    bulbul ko bahār ke jaane ġham nahīñ

    har barg haath maltā hai gulzār ke liye

    ai shāh-e-husn zulf o ruḳh o gosh chashm o lab

    kyā kyā ilāqe haiñ tirī sarkār ke liye

    chaal abr chalā jo gulistāñ meñ jhuum kar

    tā.ūs ne qadam tire rahvār ke liye

    aayā jo dekhne tire husn-o-jamāl ko

    pakḌā gayā vo ishq begār ke liye

    hājat nahīñ banāo ai nāznīñ tujhe

    zevar hai sādgī tire ruḳhsār ke liye

    bīmār tandurust ho dekhe jo ro.e yaar

    kyā chāshnī hai sharbat-e-dīdār ke liye

    is bādshāh-e-husn manzil meñ chāhiye

    bāl-e-humā par-chhatī dīvār ke liye

    saudā-e-zulf-e-yār meñ kāfir huā huuñ meñ

    sumbul ke taar chāhiyeñ zunnār ke liye

    zanjīr o tauq jo ki hai bāzār-e-dahr meñ

    saudā hai us parī ke ḳharīdār ke liye

    chūnā baneñge ba.ad-e-fanā apne ustuḳhvāñ

    daulat sarā.e yaar dīvār ke liye

    ma.ashūq zabāñ se hai dushnām dil pazīr

    shīrīnī zahr hai tirī guftār ke liye

    jaañ se aziiz tar hai mare dil ko daaġh ishq

    mahtāb lahad shab-e-tār ke liye

    vo mast ḳhvāb chashm hai koī balā-e-bad

    kyā martaba hai fitna-e-bedār ke liye

    ḳhalvat se anjuman kahāñ yaar ko dimāġh

    vo jins be-bahā nahīñ bāzār ke liye

    pahnā hai jab se ne shab-e-māh meñ use

    kyā kyā shagūfe phūlte haiñ haar ke liye

    chhakḌā hue haiñ soch ke rāh-e-vafā meñ paañv

    pahiye lagā.iye unheñ raftār ke liye

    jo mushtarī hai banda hai us ḳhush-jamāl

    yūsuf bane ġhulām ḳharīdār ke liye

    sone ke patte hoveñ har ik gul ke kaan meñ

    maqdūr ho jo bulbul-e-gulzār ke liye

    gul-hā-e-zaḳhm se huuñ shahādat-talab nihāl

    taufīq-e-ḳhair ho tirī talvār ke liye

    andher hai jo dam na is ke ho raushnī

    yūsuf mirā charāġh hai bāzār ke liye

    ehsāñ jo ibtidā se hai ātish vahī hai aaj

    kuchh intihā nahīñ karam-e-yār ke liye

    na-fahmi apni parda hai didar ke liye

    warna koi naqab nahin yar ke liye

    nur-e-tajalli hai tere ruKHsar ke liye

    aankhen mari kalim hain didar ke liye

    fidye bahut us abru-e-KHamdar ke liye

    chu rang ki kami nahin talwar ke liye

    qaul apna hai ye subha-o-zunnar ke liye

    do phande hain ye kafir-o-din-dar ke liye

    lutf-e-chaman hai bulbul-e-gulzar ke liye

    kaifiyat-e-sharab hai mai-KHwar ke liye

    seri na hogi tishna-e-didar ke liye

    pani nahin chah-e-zaqan-e-yar ke liye

    utni hi hai numud meri yar ke liye

    shohra hai jis qadar mare ashaar ke liye

    dasht-e-adam se aate hain bagh-e-jahan mein hum

    be-dagh lala-o-gul-e-be-KHar ke liye

    shamshad apne turre ko beche to lijiye

    us lala ro ki lipaTti dastar ke liye

    do aankhen chehre par nahin tere faqir ke

    do Thekre hain bhik ke didar ke liye

    surma lagaya kijiye aankhon mein mehrban

    iksir ye sufuf hai bimar ke liye

    halqe mein zulf-e-yar ki moti piroiye

    dandan zarur hain dahan-e-mar ke liye

    guft-o-shunid mein hun basar din bahaar ke

    gul ke liye hai gosh zaban KHar ke liye

    be-yar sar paTakne se hilta hai ghar mera

    rahta hai zalzala dar-o-diwar ke liye

    baiTha jo us ke sae mein diwana ho gaya

    saya pari ka hai teri diwar ke liye

    bulbul hi ko bahaar ke jaane ka gham nahin

    har barg hath malta hai gulzar ke liye

    ai shah-e-husn zulf o ruKH o gosh chashm o lab

    kya kya ilaqe hain teri sarkar ke liye

    chaal abr ki chala jo gulistan mein jhum kar

    taus ne qadam tere rahwar ke liye

    aaya jo dekhne tere husn-o-jamal ko

    pakDa gaya wo ishq ki begar ke liye

    hajat nahin banao ki ai naznin tujhe

    zewar hai sadgi tere ruKHsar ke liye

    bimar tandurust ho dekhe jo roe yar

    kya chashni hai sharbat-e-didar ke liye

    is baadshah-e-husn ki manzil mein chahiye

    baal-e-huma ki par-chhati diwar ke liye

    sauda-e-zulf-e-yar mein kafir hua hun mein

    sumbul ke tar chahiyen zunnar ke liye

    zanjir o tauq jo ki hai bazar-e-dahr mein

    sauda hai us pari ke KHaridar ke liye

    chuna banenge baad-e-fana apne ustuKHwan

    daulat sarae yar ki diwar ke liye

    mashuq ki zaban se hai dushnam dil pazir

    shirini zahr hai teri guftar ke liye

    jaan se aziz tar hai mare dil ko dagh ishq

    mahtab lahad ki shab-e-tar ke liye

    wo mast KHwab chashm hai koi bala-e-bad

    kya martaba hai fitna-e-bedar ke liye

    KHalwat se anjuman ka kahan yar ko dimagh

    wo jins be-baha nahin bazar ke liye

    pahna hai jab se tu ne shab-e-mah mein use

    kya kya shagufe phulte hain haar ke liye

    chhakDa hue hain soch ke rah-e-wafa mein panw

    pahiye lagaiye unhen raftar ke liye

    jo mushtari hai banda hai us KHush-jamal ka

    yusuf bane ghulam KHaridar ke liye

    sone ke patte howen har ek gul ke kan mein

    maqdur ho jo bulbul-e-gulzar ke liye

    gul-ha-e-zaKHm se hun shahadat-talab nihaal

    taufiq-e-KHair ho teri talwar ke liye

    andher hai jo dam ki na is ke ho raushni

    yusuf mera charagh hai bazar ke liye

    ehsan jo ibtida se hai aatish wahi hai aaj

    kuchh intiha nahin karam-e-yar ke liye

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now