na ye shisha na ye saghar na ye paimana bane
na ye shīsha na ye sāġhar na ye paimāna bane
jān-e-mai-ḳhāna tirī nargis-e-mastāna bane
partav-e-ruḳh ke karishme the sar-e-rāhguzar
zarre jo ḳhaak se uTThe vo sanam-ḳhāna bane
kār-farmā hai faqat husn kā nairañg-e-kamāl
chāhe vo sham.a bane chāhe vo parvāna bane
us ko matlūb haiñ kuchh qalb o jigar ke TukḌe
jaib o dāman na koī phaaḌ ke dīvāna bane
rind jo zarf uThā leñ vahī sāġhar ban jaa.e
jis jagah baiTh ke pī leñ vahī mai-ḳhāna bane
na ye shisha na ye saghar na ye paimana bane
jaan-e-mai-KHana teri nargis-e-mastana bane
partaw-e-ruKH ke karishme the sar-e-rahguzar
zarre jo KHak se uTThe wo sanam-KHana bane
kar-farma hai faqat husn ka nairang-e-kamal
chahe wo shama bane chahe wo parwana bane
us ko matlub hain kuchh qalb o jigar ke TukDe
jaib o daman na koi phaD ke diwana bane
rind jo zarf uTha len wahi saghar ban jae
jis jagah baiTh ke pi len wahi mai-KHana bane
- Book : Ghazal Calendar-2015 (Pg. 06.02.2015)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.