na sah sakunga gham-e-zat go akela main
na sah sakūñgā ġham-e-zāt go akelā maiñ
kahāñ tak aur kisī par karūñ bharosā maiñ
hunar vo hai ki jiyūñ chāñd ban kar āñkhoñ meñ
rahūñ diloñ meñ qayāmat kī tarah barpā maiñ
vo rañg rañg ke chhīñTe paḌe ki is ke ba.ad
kabhī na phir na.e kapḌe pahan ke niklā maiñ
na sirf ye ki zamāna hī mujh pe hañstā hai
banā huā huuñ ḳhud apne liye tamāshā maiñ
mujhe sameTne aayā bhī thā koī jis vaqt
dayār o dasht o daman meñ bikhar rahā thā maiñ
ye kis tarah kī mohabbat thī kaisā rishta thā
ki hijr ne na rulāyā use na taḌpā maiñ
paḌā rahūñ na qafas meñ to kyā karūñ āḳhir
ki dekhtā huuñ bahut duur tak dhuñdlakā maiñ
bahut malūl huuñ ai sūrat-āshnā tujh se
ki tere sāmne kyuuñ aa gayā sarāpā maiñ
yahī nahīñ ki tujhī ko na thī umiid aisī
mujhe bhī ilm nahīñ thā ki ye karūñgā maiñ
maiñ ḳhaak hī se banā thā tū kaash yuuñ bantā
ki us ke haath se girte hī TuuT jaatā maiñ
na sah sakunga gham-e-zat go akela main
kahan tak aur kisi par karun bharosa main
hunar wo hai ki jiyun chand ban kar aankhon mein
rahun dilon mein qayamat ki tarah barpa main
wo rang rang ke chhinTe paDe ki is ke baad
kabhi na phir nae kapDe pahan ke nikla main
na sirf ye ki zamana hi mujh pe hansta hai
bana hua hun KHud apne liye tamasha main
mujhe sameTne aaya bhi tha koi jis waqt
dayar o dasht o daman mein bikhar raha tha main
ye kis tarah ki mohabbat thi kaisa rishta tha
ki hijr ne na rulaya use na taDpa main
paDa rahun na qafas mein to kya karun aaKHir
ki dekhta hun bahut dur tak dhundlaka main
bahut malul hun ai surat-ashna tujh se
ki tere samne kyun aa gaya sarapa main
yahi nahin ki tujhi ko na thi umid aisi
mujhe bhi ilm nahin tha ki ye karunga main
main KHak hi se bana tha tu kash yun banta
ki us ke hath se girte hi TuT jata main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.