na sab be-KHabar hain na hushyar sab
na sab be-ḳhabar haiñ na hushyār sab
ġharaz ke mutābiq haiñ kirdār sab
dikhāve kī haiñ saarī dilchaspiyāñ
haqīqat meñ sab se haiñ bezār sab
ḳhabar hai koī chārāgar aa.egā
salīqe se baiThe haiñ bīmār sab
baḌī dhuum hai us ke insāf kī
baḌe mutma.in haiñ gunahgār sab
sabhī zindagī ke nishāne pe haiñ
Thikāne na lag jaa.eñ is baar sab
bahut saada dil haiñ bahut nek haiñ
hamāre tumhāre madad-gār sab
maiñ ḳhud apnā munkir huuñ phir bhī 'aqīl'
mujhe mānñe ko haiñ tayyār sab
na sab be-KHabar hain na hushyar sab
gharaz ke mutabiq hain kirdar sab
dikhawe ki hain sari dilchaspiyan
haqiqat mein sab se hain bezar sab
KHabar hai koi chaaragar aaega
saliqe se baiThe hain bimar sab
baDi dhum hai us ke insaf ki
baDe mutmain hain gunahgar sab
sabhi zindagi ke nishane pe hain
Thikane na lag jaen is bar sab
bahut sada dil hain bahut nek hain
hamare tumhaare madad-gar sab
main KHud apna munkir hun phir bhi 'aqil'
mujhe manne ko hain tayyar sab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.