na itna chahiye ai pur-shikam KHwab
na itnā chāhiye ai pur-shikam ḳhvāb
ki tere haq meñ hai zālim sitam ḳhvāb
ḳhayāl-e-māh-rū meñ tā-dam-e-sub.h
na aayā raat mujh ko ek dam ḳhvāb
kaho to kis tarah aave vahāñ niiñd
jahāñ ḳhurshīd-rū ho aa ke ham-ḳhvāb
palak lagte nahīñ kyā uḌ gayā hai
nasīboñ kā tire ai chashm-e-nam ḳhvāb
hameñ behtar hai sonā jāgne se
bhulātā hai hamārā dard-o-ġham ḳhvāb
kahe thā raat ko 'hātim' se 'mazmūñ'
mujhe maḳhmal upar aatā hai kam ḳhvāb
na itna chahiye ai pur-shikam KHwab
ki tere haq mein hai zalim sitam KHwab
KHayal-e-mah-ru mein ta-dam-e-subh
na aaya raat mujh ko ek dam KHwab
kaho to kis tarah aawe wahan nind
jahan KHurshid-ru ho aa ke ham-KHwab
palak lagte nahin kya uD gaya hai
nasibon ka tere ai chashm-e-nam KHwab
hamein behtar hai sona jagne se
bhulata hai hamara dard-o-gham KHwab
kahe tha raat ko 'hatim' se 'mazmun'
mujhe maKHmal upar aata hai kam KHwab
- Book : Diwan Zadah (Pg. 145)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.