na darweshon ka KHirqa chahiye na taj-e-shahana
na darweshon ka KHirqa chahiye na taj-e-shahana
Bahadur Shah Zafar
MORE BYBahadur Shah Zafar
na darveshoñ kā ḳhirqa chāhiye nā tāj-e-shāhānā
mujhe to hosh de itnā rahūñ maiñ tujh pe dīvānā
kitāboñ meñ dharā hai kyā bahut likh likh ke dho Dālīñ
hamāre dil pe naqsh-e-kal-hajar hai terā farmānā
ġhanīmat jaan jo dam guzre kaifiyyat se gulshan meñ
diye jā sāqī-e-paimāñ-shikan bhar bhar ke paimānā
na dekhā vo kahīñ jalva jo dekhā ḳhāna-e-dil meñ
bahut masjid meñ sar maarā bahut sā DhūñDā but-ḳhānā
kuchh aisā ho ki jis se manzil-e-maqsūd ko pahuñchūñ
tarīq-e-pārsā.ī hove yā ho rāh-e-rindānā
ye saarī āmad-o-shud hai nafas kī āmad-o-shud par
isī tak aanā jaanā hai na phir jaanā na phir aanā
'zafar' vo zāhid-e-bedard kī hū-haq se behtar hai
kare gar rind dard-e-dil se hāv-hū-e-mastānā
na darweshon ka KHirqa chahiye na taj-e-shahana
mujhe to hosh de itna rahun main tujh pe diwana
kitabon mein dhara hai kya bahut likh likh ke dho Dalin
hamare dil pe naqsh-e-kal-hajar hai tera farmana
ghanimat jaan jo dam guzre kaifiyyat se gulshan mein
diye ja saqi-e-paiman-shikan bhar bhar ke paimana
na dekha wo kahin jalwa jo dekha KHana-e-dil mein
bahut masjid mein sar mara bahut sa DhunDa but-KHana
kuchh aisa ho ki jis se manzil-e-maqsud ko pahunchun
tariq-e-parsai howe ya ho rah-e-rindana
ye sari aamad-o-shud hai nafas ki aamad-o-shud par
isi tak aana jaana hai na phir jaana na phir aana
'zafar' wo zahid-e-bedard ki hu-haq se behtar hai
kare gar rind dard-e-dil se haw-hu-e-mastana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.