na dil se aah na lab se sada nikalti hai
na dil se aah na lab se sadā nikaltī hai
magar ye baat baḌī duur jā nikaltī hai
sitam to ye hai ki ahd-e-sitam ke jaate hī
tamām ḳhalq mirī ham-navā nikaltī hai
visāl-o-hijr kī hasrat meñ jū-e-kam-māya
kabhī kabhī kisī sahrā meñ jā nikaltī hai
maiñ kyā karūñ mire qātil na chāhne par bhī
tire liye mire dil se duā nikaltī hai
vo zindagī ho ki duniyā 'farāz' kyā kiije
ki jis se ishq karo bevafā nikaltī hai
na dil se aah na lab se sada nikalti hai
magar ye baat baDi dur ja nikalti hai
sitam to ye hai ki ahd-e-sitam ke jate hi
tamam KHalq meri ham-nawa nikalti hai
visal-o-hijr ki hasrat mein ju-e-kam-maya
kabhi kabhi kisi sahra mein ja nikalti hai
main kya karun mere qatil na chahne par bhi
tere liye mere dil se dua nikalti hai
wo zindagi ho ki duniya 'faraaz' kya kije
ki jis se ishq karo bewafa nikalti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.