na ab raqib na naseh na gham-gusar koi
na ab raqīb na nāseh na ġham-gusār koī
tum āshnā the to thiiñ āshnā.iyāñ kyā kyā
judā the ham to mayassar thiiñ qurbateñ kitnī
baham hue to paḌī haiñ judā.iyāñ kyā kyā
pahuñch ke dar pe tire kitne mo'tabar Thahre
agarche rah meñ huiiñ jag-hañsā.iyāñ kyā kyā
ham aise sāda-diloñ kī niyāz-mandī se
butoñ ne kī haiñ jahāñ meñ ḳhudā.iyāñ kyā kyā
sitam pe ḳhush kabhī lutf-o-karam se ranjīda
sikhā.īñ tum ne hameñ kaj-adā.iyāñ kyā kyā
na ab raqib na naseh na gham-gusar koi
tum aashna the to thin aashnaiyan kya kya
juda the hum to mayassar thin qurbaten kitni
baham hue to paDi hain judaiyan kya kya
pahunch ke dar pe tere kitne mo'tabar Thahre
agarche rah mein huin jag-hansaiyan kya kya
hum aise sada-dilon ki niyaz-mandi se
buton ne ki hain jahan mein KHudaiyan kya kya
sitam pe KHush kabhi lutf-o-karam se ranjida
sikhain tum ne hamein kaj-adaiyan kya kya
- Book : Nuskha Hai Wafa (Kulliyat-e-Faiz) (Pg. 537)
- Publication : Educational Publishing House (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.