muztarib dil ki kahani aur hai
muztarib dil kī kahānī aur hai
koī lekin us kā saanī aur hai
us kī āñkheñ dekh kar ham par khulā
ye shu.ūr-e-hukmarānī aur hai
ye jo qātil haiñ unheñ kuchh mat kaho
is sitam kā koī baanī aur hai
'umr bhar tum shā.irī karte raho
zaḳhm-e-dil kī tarjumānī aur hai
hausla TuuTe na rāh-e-shauq meñ
ġham kī aisī mezbānī aur hai
mudda'ā iz.hār se khultā nahīñ
ye zabān-e-be-zabānī aur hai
aa.ine ke sāmne baiThā hai kaun
aaj manzar par javānī aur hai
muztarib dil ki kahani aur hai
koi lekin us ka sani aur hai
us ki aankhen dekh kar hum par khula
ye shuur-e-hukmarani aur hai
ye jo qatil hain unhen kuchh mat kaho
is sitam ka koi bani aur hai
'umr bhar tum shairi karte raho
zaKHm-e-dil ki tarjumani aur hai
hausla TuTe na rah-e-shauq mein
gham ki aisi mezbani aur hai
mudda'a izhaar se khulta nahin
ye zaban-e-be-zabani aur hai
aaine ke samne baiTha hai kaun
aaj manzar par jawani aur hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.