tum gul the hum nikhaar abhi kal ki baat hai
tum gul the ham nikhār abhī kal kī baat hai
ham se thī sab bahār abhī kal kī baat hai
begāna samjho ġhair kaho ajnabī kaho
apnoñ meñ thā shumār abhī kal kī baat hai
aaj apne paas se hameñ rakhte ho duur duur
ham bin na thā qarār abhī kal kī baat hai
itrā rahe ho aaj pahan kar na.ī qabā
dāman thā taar taar abhī kal kī baat hai
aaj is qadar ġhurūr ye andāz ye mizāj
phirte the 'mīr' ḳhvār abhī kal kī baat hai
anjān ban ke pūchhte ho hai ye kab kī baat
kal kī hai baat yaar abhī kal kī baat hai
tum gul the hum nikhaar abhi kal ki baat hai
hum se thi sab bahaar abhi kal ki baat hai
begana samjho ghair kaho ajnabi kaho
apnon mein tha shumar abhi kal ki baat hai
aaj apne pas se hamein rakhte ho dur dur
hum bin na tha qarar abhi kal ki baat hai
itra rahe ho aaj pahan kar nai qaba
daman tha tar tar abhi kal ki baat hai
aaj is qadar ghurur ye andaz ye mizaj
phirte the 'mir' KHwar abhi kal ki baat hai
anjaan ban ke puchhte ho hai ye kab ki baat
kal ki hai baat yar abhi kal ki baat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.