muntazir dasht-e-dil-o-jaan hai ki aahu aae
muntazir dasht-e-dil-o-jāñ hai ki aahū aa.e
saare manzar hī badal jaa.eñ agar tū aa.e
niiñd aa.e to achānak tirī aahaT sun luuñ
jaag uTThūñ to badan se tirī ḳhushbū aa.e
be-hunar haath chamakne lagā sūraj kī tarah
aaj ham kis se mile aaj kise chhū aa.e
saut hī saut hai tasvīr hī tasvīr hai tū
yaad terī ka.ī bāteñ ka.ī pahlū aa.e
ham tujhe dekhte hī naqsh-ba-dīvār hue
ab vahī tujh se milegā jise jaadū aa.e
apne hī aks ko paanī meñ kahāñ tak dekhūñ
hijr kī shaam hai koī to lab-e-jū aa.e
kisī jānib nazar aatā nahīñ bādal koī
aur jab sail-e-balā aa.e to har-sū aa.e
chāhtā huuñ ki ho parvāz sitāroñ se buland
aur mire hisse meñ TuuTe hue baazū aa.e
dard meñ Duubī huī raakh meñ nahlā.ī huī
raat yuuñ aa.ī hai jaise koī sādhū aa.e
rāsta rok sakī haiñ na fasīleñ na hisār
phuul jañgal meñ khile shahr meñ ḳhushbū aa.e
āsmānoñ pe na taare haiñ na bādal hai na chāñd
ab to mumkin hai kahīñ se koī jugnū aa.e
vaqt-e-ruḳhsat mire hamrāh koī kab aayā
aur agar lauT ke aa.e bhī to aañsū aa.e
rog bhī tū ne lagāyā hai anokhā 'shahzād'
ab kahāñ se tire is dard kā daarū aa.e
muntazir dasht-e-dil-o-jaan hai ki aahu aae
sare manzar hi badal jaen agar tu aae
nind aae to achanak teri aahaT sun lun
jag uTThun to badan se teri KHushbu aae
be-hunar hath chamakne laga suraj ki tarah
aaj hum kis se mile aaj kise chhu aae
saut hi saut hai taswir hi taswir hai tu
yaad teri kai baaten kai pahlu aae
hum tujhe dekhte hi naqsh-ba-diwar hue
ab wahi tujh se milega jise jadu aae
apne hi aks ko pani mein kahan tak dekhun
hijr ki sham hai koi to lab-e-ju aae
kisi jaanib nazar aata nahin baadal koi
aur jab sail-e-bala aae to har-su aae
chahta hun ki ho parwaz sitaron se buland
aur mere hisse mein TuTe hue bazu aae
dard mein Dubi hui rakh mein nahlai hui
raat yun aai hai jaise koi sadhu aae
rasta rok saki hain na fasilen na hisar
phul jangal mein khile shahr mein KHushbu aae
aasmanon pe na tare hain na baadal hai na chand
ab to mumkin hai kahin se koi jugnu aae
waqt-e-ruKHsat mere hamrah koi kab aaya
aur agar lauT ke aae bhi to aansu aae
rog bhi tu ne lagaya hai anokha 'shahzad'
ab kahan se tere is dard ka daru aae
- Book : Deewar pe dastak (Pg. 974)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.