puchha ki wajh-e-zindagi bole ki dildari meri
pūchhā ki vaj.h-e-zindagī bole ki dildārī mirī
pūchhā ki marne kā sabab bole jafā-kārī mirī
pūchhā ki dil ko kyā kahūñ bole ki dīvāna mirā
pūchhā ki us ko kyā huā bole ki bīmārī mirī
pūchhā satā ke rañj kyuuñ bole ki pachhtānā paḌā
pūchhā ki rusvā kaun hai bole dil-āzārī mirī
pūchhā ki dozaḳh kī jalan bole ki soz-e-dil tirā
pūchhā ki jannat kī phaban bole tarah-dārī mirī
pūchhā ki 'muztar' kyuuñ kiyā bole ki dil chāhā mirā
pūchhā tasallī kaun de bole ki ġham-ḳhvārī mirī
puchha ki wajh-e-zindagi bole ki dildari meri
puchha ki marne ka sabab bole jafa-kari meri
puchha ki dil ko kya kahun bole ki diwana mera
puchha ki us ko kya hua bole ki bimari meri
puchha sata ke ranj kyun bole ki pachhtana paDa
puchha ki ruswa kaun hai bole dil-azari meri
puchha ki dozaKH ki jalan bole ki soz-e-dil tera
puchha ki jannat ki phaban bole tarah-dari meri
puchha ki 'muztar' kyun kiya bole ki dil chaha mera
puchha tasalli kaun de bole ki gham-KHwari meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.