main jo kahta hun tu kajrawi chhoD de
maiñ jo kahtā huuñ tū kajravī chhoḌ de
vo ye kahtī hai tū dostī chhoḌ de
maiñ ye kahtā huuñ mujh ko divāna banā
vo ye kahtī hai dīvāngī chhoḌ de
jab maiñ tārīf kartā huuñ us kī kabhī
tab vo kahtī hai bas shā.irī chhoḌ de
jab kabhī dil kī bāteñ batātā huuñ maiñ
tab vo kahtī hai ab dil lagī chhoḌ de
jab maiñ kahtā huuñ hai jaan hāzir mirī
vo ye kahtī hai ab jaañ mirī chhoḌ de
jab maiñ kahtā huuñ jiinā hai mushkil bahut
tab vo kahtī hai jā zindagī chhoḌ de
main jo kahta hun tu kajrawi chhoD de
wo ye kahti hai tu dosti chhoD de
main ye kahta hun mujh ko diwana bana
wo ye kahti hai diwangi chhoD de
jab main tarif karta hun us ki kabhi
tab wo kahti hai bas shairi chhoD de
jab kabhi dil ki baaten batata hun main
tab wo kahti hai ab dil lagi chhoD de
jab main kahta hun hai jaan hazir meri
wo ye kahti hai ab jaan meri chhoD de
jab main kahta hun jina hai mushkil bahut
tab wo kahti hai ja zindagi chhoD de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.