main boli tere lab par hai hansi meri
maiñ bolī tere lab par hai hañsī merī
vo bolā mat baḌhāo bekalī merī
maiñ bolī shāhzāde mol kyā merā
vo bolā shāhzādī zindagī merī
meñ bolī tīrgī har-sū ziyāda hai
vo bolā phailne do raushnī merī
maiñ bolī hijr meñ kaise jiyoge tum
vo bolā ruk na jaa.e saañs hī merī
maiñ bolī ḳhvāb kis kā dekhte ho tum
vo bolā aañkh meñ dekho kabhī merī
maiñ bolī kyuuñ bahut bechain rahte ho
vo bolā qahr hai dil kī lagī merī
maiñ bolī tum suḳhan ke shāhzāde ho
vo bolā tum ho jānāñ shā.irī merī
maiñ bolī zindagī par dukh ke saa.e haiñ
vo bolā tum 'rabāb' ab har ḳhushī merī
main boli tere lab par hai hansi meri
wo bola mat baDhao bekali meri
main boli shahzade mol kya mera
wo bola shahzadi zindagi meri
mein boli tirgi har-su ziyaada hai
wo bola phailne do raushni meri
main boli hijr mein kaise jiyoge tum
wo bola ruk na jae sans hi meri
main boli KHwab kis ka dekhte ho tum
wo bola aankh mein dekho kabhi meri
main boli kyun bahut bechain rahte ho
wo bola qahr hai dil ki lagi meri
main boli tum suKHan ke shahzade ho
wo bola tum ho jaanan shairi meri
main boli zindagi par dukh ke sae hain
wo bola tum 'rabab' ab har KHushi meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.