bola hain rang kitne zamane ke aur bhi
bolā haiñ rañg kitne zamāne ke aur bhī
us ne kahā haiñ bhed batāne ke aur bhī
bolā tumhāre dil meñ mohabbat ne ghar kiyā
maiñ ne kahā haiñ rog lagāne ke aur bhī
maiñ ne kahā vafā kī kabhī dāstāñ sunī
bolā haiñ qisse sunñe sunāne ke aur bhī
iz.hār se buland hai maiñ ne batāyā ishq
bolā maze haiñ is ko jatāne ke aur bhī
batlāyā rāh-e-ishq hai dushvār soch lo
kahne lagā haiñ rāste aane ke aur bhī
bola hain rang kitne zamane ke aur bhi
us ne kaha hain bhed batane ke aur bhi
bola tumhaare dil mein mohabbat ne ghar kiya
main ne kaha hain rog lagane ke aur bhi
main ne kaha wafa ki kabhi dastan suni
bola hain qisse sunne sunane ke aur bhi
izhaar se buland hai main ne bataya ishq
bola maze hain is ko jatane ke aur bhi
batlaya rah-e-ishq hai dushwar soch lo
kahne laga hain raste aane ke aur bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.