abas hai naz-e-istighna pe kal ki kya KHabar kya ho
abas hai nāz-e-istiġhnā pe kal kī kyā ḳhabar kyā ho
ḳhudā ma.alūm ye sāmān kyā ho jaa.e sar kyā ho
ye āh-e-be-asar kyā ho ye naḳhl-e-be-samar kyā ho
na ho jab dard hī yā-rab to dil kyā ho jigar kyā ho
jahāñ insān kho jaatā ho ḳhud phir us kī mahfil meñ
rasā.ī kis tarah ho daḳhl kyūñkar ho guzar kyā ho
na pūchhūñgā maiñ ye bhī jaam meñ hai zahr yā amrit
tumhāre haath se andesha-e-naf-o-zarar kyā ho
muravvat se ho begāna vafā se duur ho kosoñ
ye sach hai nāznīñ ho ḳhūbsūrat ho magar kyā ho
shagūfe dekh kar muTThī meñ zar ko muskurāte haiñ
ki jab umr is qadar kotāh rakhte haiñ to zar kyā ho
rahā kartī hai ye hairat mujhe zuhd-e-riyā.ī par
ḳhudā se jo nahīñ Dartā use bande kā Dar kyā ho
kahā maiñ ne ki 'nazm'-e-mubtalā martā hai hasrat meñ
kahā us ne agar mar jaa.e to merā zarar kyā ho
kahā maiñ ne ki hai soz-e-jigar aur uff nahīñ kartā
kahā is kī ijāzat hī nahīñ phir nauhagar kyā ho
kahā maiñ ne ki de us ko ijāzat aah karne kī
kahā us ne bhaḌak uTThe agar soz-e-jigar kyā ho
kahā maiñ ne ki aañsū aañkh kā lekin nahīñ thamtā
kahā āñkheñ koī talvoñ se mal Daale agar kyā ho
kahā maiñ ne qadam bhar par hai vo sūrat dikhā aao
kahā muñh pher kar itnā kisī ko dard-e-sar kyā ho
kahā maiñ ne asar mutlaq nahīñ kyā sañg-dil hai tū
kahā jab dil ho patthar kā to patthar par asar kyā ho
kahā maiñ ne jo mar jaa.e to kyā ho soch tū dil meñ
kahā nā-āqibat-andesh ne kuchh soch kar kyā ho
kahā maiñ ne ḳhabar bhī hai ki dī jaañ us ne ghuT ghaT kar
kahā mar jaa.e chupke se to phir mujh ko ḳhabar kyā ho
abas hai naz-e-istighna pe kal ki kya KHabar kya ho
KHuda malum ye saman kya ho jae sar kya ho
ye aah-e-be-asar kya ho ye naKHl-e-be-samar kya ho
na ho jab dard hi ya-rab to dil kya ho jigar kya ho
jahan insan kho jata ho KHud phir us ki mahfil mein
rasai kis tarah ho daKHl kyunkar ho guzar kya ho
na puchhunga main ye bhi jam mein hai zahr ya amrit
tumhaare hath se andesha-e-naf-o-zarar kya ho
murawwat se ho begana wafa se dur ho koson
ye sach hai naznin ho KHubsurat ho magar kya ho
shagufe dekh kar muTThi mein zar ko muskuraate hain
ki jab umr is qadar kotah rakhte hain to zar kya ho
raha karti hai ye hairat mujhe zuhd-e-riyai par
KHuda se jo nahin Darta use bande ka Dar kya ho
kaha main ne ki 'nazm'-e-mubtala marta hai hasrat mein
kaha us ne agar mar jae to mera zarar kya ho
kaha main ne ki hai soz-e-jigar aur uff nahin karta
kaha is ki ijazat hi nahin phir nauhagar kya ho
kaha main ne ki de us ko ijazat aah karne ki
kaha us ne bhaDak uTThe agar soz-e-jigar kya ho
kaha main ne ki aansu aankh ka lekin nahin thamta
kaha aankhen koi talwon se mal Dale agar kya ho
kaha main ne qadam bhar par hai wo surat dikha aao
kaha munh pher kar itna kisi ko dard-e-sar kya ho
kaha main ne asar mutlaq nahin kya sang-dil hai tu
kaha jab dil ho patthar ka to patthar par asar kya ho
kaha main ne jo mar jae to kya ho soch tu dil mein
kaha na-aqibat-andesh ne kuchh soch kar kya ho
kaha main ne KHabar bhi hai ki di jaan us ne ghuT ghaT kar
kaha mar jae chupke se to phir mujh ko KHabar kya ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.