mujhe usne teri KHabar di hai
mujhe us ne tirī ḳhabar dī hai
jis ne har shaam ko sahar dī hai
gum rahā huuñ tire ḳhayāloñ meñ
tujh ko āvāz umr bhar dī hai
din thā aur gard-e-rahguzār nasīb
raat hai aur sitāra-gardī hai
sard-o-garm-e-zamāna dekh liyā
na vo garmī hai ab na sardī hai
mujhe us ne teri KHabar di hai
jis ne har sham ko sahar di hai
gum raha hun tere KHayalon mein
tujh ko aawaz umr bhar di hai
din tha aur gard-e-rahguzar nasib
raat hai aur sitara-gardi hai
sard-o-garm-e-zamana dekh liya
na wo garmi hai ab na sardi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.