mujhe nahin hai koi wahm apne bare mein
mujhe nahīñ hai koī vahm apne baare meñ
bharo na had se ziyāda havā ġhubāre meñ
tamāshā ḳhatm huā dhuup ke madārī kā
sunahrī saañp chhupe shaam ke piTāre meñ
jise maiñ dekh chukā us ko log kyuuñ dekheñ
na chhoḌī koī bhī baaqī kashish nazāre meñ
vo boltā thā magar lab nahīñ hilātā thā
ishāra kartā thā jumbish na thī ishāre meñ
tamām log gharoñ kī chhatoñ pe aa jaa.eñ
baḌī kashish hai na.e chāñd ke nazāre meñ
mile mujhe bhī agar koī shaam fursat kī
maiñ kyā huuñ kaun huuñ sochūñgā apne baare meñ
purānī samt muḌegā na koī bhī 'sājid'
ye ahd-e-nau na bahegā qadīm dhāre meñ
mujhe nahin hai koi wahm apne bare mein
bharo na had se ziyaada hawa ghubare mein
tamasha KHatm hua dhup ke madari ka
sunahri sanp chhupe sham ke piTare mein
jise main dekh chuka us ko log kyun dekhen
na chhoDi koi bhi baqi kashish nazare mein
wo bolta tha magar lab nahin hilata tha
ishaara karta tha jumbish na thi ishaare mein
tamam log gharon ki chhaton pe aa jaen
baDi kashish hai nae chand ke nazare mein
mile mujhe bhi agar koi sham fursat ki
main kya hun kaun hun sochunga apne bare mein
purani samt muDega na koi bhi 'sajid'
ye ahd-e-nau na bahega qadim dhaare mein
- Book : kulliyat-e-iqbaal saajid (Pg. 271)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.