Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mujhe kaif-e-hijr aziz hai tu zar-e-visal sameT le

Ram Riyaz

mujhe kaif-e-hijr aziz hai tu zar-e-visal sameT le

Ram Riyaz

MORE BYRam Riyaz

    mujhe kaif-e-hijr aziiz hai zar-e-visāl sameT le

    maiñ jo terā koī gila karūñ mirī kyā majāl sameT le

    mire harf o saut bhī chhīn le mire sabr-o-zabt ke saath

    mirā koī maal burā nahīñ merā saarā maal sameT le

    ye tamām din masāfateñ ye tamām raat āfateñ

    mujhe in dinoñ se najāt de mirā ye vabāl sameT le

    sabhī reza reza ināyateñ usī ek haiñ rivāyateñ

    vo jo lamha lamha bikher de vo jo saal saal sameT le

    tire intizār meñ is tarah mirā ahad-e-shauq guzar gayā

    sar-e-shām jaise bisāt-e-dil koī ḳhasta-hāl sameT le

    tire ruḳh pe chāñd bhī dard hai tirā is meñ kaun harj hai

    agar ye hāshiya chhoḌ de to agar ye baal sameT le

    ye hamārā shauq thā ham ne apne guloñ meñ parinde sajā liye

    use iḳhtiyār hai 'rām' jab bhī vo chāhe jaal sameT le

    mujhe kaif-e-hijr aziz hai tu zar-e-visal sameT le

    main jo tera koi gila karun meri kya majal sameT le

    mere harf o saut bhi chhin le mere sabr-o-zabt ke sath tu

    mera koi mal bura nahin mera sara mal sameT le

    ye tamam din ki masafaten ye tamam raat ki aafaten

    mujhe in dinon se najat de mera ye wabaal sameT le

    sabhi reza reza inayaten usi ek ki hain riwayaten

    wo jo lamha lamha bikher de wo jo sal sal sameT le

    tere intizar mein is tarah mera ahad-e-shauq guzar gaya

    sar-e-sham jaise bisat-e-dil koi KHasta-haal sameT le

    tere ruKH pe chand bhi dard hai tera is mein kaun sa harj hai

    tu agar ye hashiya chhoD de to agar ye baal sameT le

    ye hamara shauq tha hum ne apne gulon mein parinde saja liye

    use iKHtiyar hai 'ram' jab bhi wo chahe jal sameT le

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now