KHandani rishton mein aksar raqabat hai bahut
ḳhāndānī rishtoñ meñ aksar raqābat hai bahut
ghar se niklo to ye duniyā ḳhūbsūrat hai bahut
apne college meñ bahut maġhrūr jo mash.hūr hai
dil mirā kahtā hai us laḌkī meñ chāhat hai bahut
un ke chehre chāñd tāroñ kī tarah raushan rahe
jin ġharīboñ ke yahāñ husn-e-qanā.at hai bahut
ham se ho saktī nahīñ duniyā kī duniyā-dāriyāñ
ishq kī dīvār ke saa.e meñ rāhat hai bahut
dhuup kī chādar mire sūraj se kahnā bhej de
ġhurbatoñ kā daur hai jāḌoñ kī shiddat hai bahut
in añdheroñ meñ jahāñ sahmī huī thī ye zamīñ
raat se tanhā laḌā jugnū meñ himmat hai bahut
KHandani rishton mein aksar raqabat hai bahut
ghar se niklo to ye duniya KHubsurat hai bahut
apne college mein bahut maghrur jo mashhur hai
dil mera kahta hai us laDki mein chahat hai bahut
un ke chehre chand taron ki tarah raushan rahe
jin gharibon ke yahan husn-e-qanaat hai bahut
hum se ho sakti nahin duniya ki duniya-dariyan
ishq ki diwar ke sae mein rahat hai bahut
dhup ki chadar mere suraj se kahna bhej de
ghurbaton ka daur hai jaDon ki shiddat hai bahut
in andheron mein jahan sahmi hui thi ye zamin
raat se tanha laDa jugnu mein himmat hai bahut
- Book : Aasman (Pg. 22)
- Author : Bashir Badar
- Publication : M.R. Publications (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.