KHwab aankhon mein sajae rakhna
ḳhvāb āñkhoñ meñ sajā.e rakhnā
'azm ke diip jalā.e rakhnā
daav chal jaa.e na shab-zādoñ kā
lau charāġhoñ kī baḌhā.e rakhnā
mehrbāñ maañ kī tarah hai ye zamīñ
sar yahāñ apnā jhukā.e rakhnā
chāñd utre na zamīñ pe jab tak
āsmāñ sar pe uThā.e rakhnā
zinda rahnā hai to yārān-e-'azīz
haath se haath milā.e rakhnā
jis ne ye ruup diyā hai 'ummīd'
vo zamīñ dil meñ basā.e rakhnā
KHwab aankhon mein sajae rakhna
'azm ke dip jalae rakhna
daw chal jae na shab-zadon ka
lau charaghon ki baDhae rakhna
mehrban man ki tarah hai ye zamin
sar yahan apna jhukae rakhna
chand utre na zamin pe jab tak
aasman sar pe uThae rakhna
zinda rahna hai to yaran-e-'aziz
hath se hath milae rakhna
jis ne ye rup diya hai 'ummid'
wo zamin dil mein basae rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.