misr se rit chali aati hai takrar ke sath
misr se riit chalī aatī hai takrār ke saath
husn kā naam liyā jaatā hai bāzār ke saath
kaun kāfir hai jo khelegā diyānat se yahāñ
jab mirī jiit hai vābasta tirī haar ke saath
ham tire shahr meñ bikne ke liye aa.e haiñ
ham ko matlab hai faqat apne ḳharīdār ke saath
tū ne dekhā hī nahīñ mo.ajiza-e-husn-e-lahn
titliyāñ kaise kathak kartī haiñ malhār ke saath
bāñdh rakkhā hai mujhe ishq kī zanjīr ke saath
aur ḳhud sāmne hai husn kī talvār ke saath
rahnumāoñ se kiyā jaa.e magar aisā sulūk
jaisā bartāv kiyā jaatā hai ġhaddār ke saath
ta.ana mat de tū mujhe mere gunāhoñ kā faqīh
mo.āmla hai mirā sattār ke ġhaffār ke saath
bol uThte haiñ dar-o-bām farishtoñ kī zabāñ
jaane kyā ramz hai iktāre kī ik taar ke saath
nā-ḳhudā.ī kā ye andāz adā hai ki bharam
bāñdh kar pheñk diyā bahr meñ patvār ke saath
aisī do-ātisha lazzat ki baqā pā jā.ūñ
jām-e-kausar jo atā ho tire dīdār ke saath
merā mahbūb suḳhanvar hai par aisā vaisā
baat kartā hai ishāre meñ bhī me.aar ke saath
sach kahe pī ke faqat sach ke sivā kuchh na kahe
guftugū kī hai kabhī aap ne mai-ḳhvār ke saath
tū ne dekhā hī nahīñ faqr kā 'āzād' ġhurūr
baat karnī bhī baḌā kaam hai ḳhud.dār ke saath
misr se rit chali aati hai takrar ke sath
husn ka nam liya jata hai bazar ke sath
kaun kafir hai jo khelega diyanat se yahan
jab meri jit hai wabasta teri haar ke sath
hum tere shahr mein bikne ke liye aae hain
hum ko matlab hai faqat apne KHaridar ke sath
tu ne dekha hi nahin moajiza-e-husn-e-lahn
titliyan kaise kathak karti hain malhaar ke sath
bandh rakkha hai mujhe ishq ki zanjir ke sath
aur KHud samne hai husn ki talwar ke sath
rahnumaon se kiya jae magar aisa suluk
jaisa bartaw kiya jata hai ghaddar ke sath
tana mat de tu mujhe mere gunahon ka faqih
moamla hai mera sattar ke ghaffar ke sath
bol uThte hain dar-o-baam farishton ki zaban
jaane kya ramz hai iktare ki ek tar ke sath
na-KHudai ka ye andaz ada hai ki bharam
bandh kar phenk diya bahr mein patwar ke sath
aisi do-atisha lazzat ki baqa pa jaun
jam-e-kausar jo ata ho tere didar ke sath
mera mahbub suKHanwar hai par aisa waisa
baat karta hai ishaare mein bhi mear ke sath
sach kahe pi ke faqat sach ke siwa kuchh na kahe
guftugu ki hai kabhi aap ne mai-KHwar ke sath
tu ne dekha hi nahin faqr ka 'azad' ghurur
baat karni bhi baDa kaam hai KHuddar ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.