meri nazar mein KHak tere aaine pe gard hai
mirī nazar meñ ḳhaak tere aa.ine pe gard hai
ye chāñd kitnā zard hai ye raat kitnī sard hai
kabhī kabhī to yuuñ lagā ki ham sabhī machine haiñ
tamām shahr meñ na koī zan na koī mard hai
ḳhudā kī nazmoñ kī kitāb saarī kā.enāt hai
ġhazal ke she'r kī tarah har ek fard fard hai
hayāt aaj bhī kanīz hai huzūr-e-jabr meñ
jo zindagī ko jiit le vo zindagī kā mard hai
ise tabarruk-e-hayāt kah ke palkoñ par rakhūñ
agar mujhe yaqīn ho ye rāste kī gard hai
vo jin ke zikr se ragoñ meñ dauḌtī thiiñ bijliyāñ
unhīñ kā haath ham ne chhū ke dekhā kitnā sard hai
meri nazar mein KHak tere aaine pe gard hai
ye chand kitna zard hai ye raat kitni sard hai
kabhi kabhi to yun laga ki hum sabhi machine hain
tamam shahr mein na koi zan na koi mard hai
KHuda ki nazmon ki kitab sari kaenat hai
ghazal ke she'r ki tarah har ek fard fard hai
hayat aaj bhi kaniz hai huzur-e-jabr mein
jo zindagi ko jit le wo zindagi ka mard hai
ise tabarruk-e-hayat kah ke palkon par rakhun
agar mujhe yaqin ho ye raste ki gard hai
wo jin ke zikr se ragon mein dauDti thin bijliyan
unhin ka hath hum ne chhu ke dekha kitna sard hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.