mere subut bahe ja rahe hain pani mein
mire subūt bahe jā rahe haiñ paanī meñ
kise gavāh banā.ūñ sarā-e-fānī meñ
jo āñsuoñ meñ nahāte rahe so paak rahe
namāz varna kise mil sakī javānī meñ
bhaḌak uThe haiñ phir āñkhoñ meñ āñsuoñ ke charāġh
phir aaj aag lagā dī ga.ī hai paanī meñ
hamīñ the aise kahāñ ke ki apne ghar jaate
baḌe-baḌoñ ne guzārī hai be-makānī meñ
ye be-kanār badan kaun paar kar paayā
bahe chale ga.e sab log is ravānī meñ
visāl o hijr ki ek ik charāġh the donoñ
siyāh ho ke rahe shab ke be-karānī meñ
bas ek lams ki jal jaa.eñ sab ḳhas-o-ḳhāshāk
ise visāl bhī kahte haiñ ḳhush-bayānī meñ
kahānī ḳhatm huī tab mujhe ḳhayāl aayā
tire sivā bhī to kirdār the kahānī meñ
na chāhiye mujhe vo āsmāñ jo merā na ho
maiñ ḳhush huuñ apnī hī miTTī kī āsmānī meñ
mere subut bahe ja rahe hain pani mein
kise gawah banaun sara-e-fani mein
jo aansuon mein nahate rahe so pak rahe
namaz warna kise mil saki jawani mein
bhaDak uThe hain phir aankhon mein aansuon ke charagh
phir aaj aag laga di gai hai pani mein
hamin the aise kahan ke ki apne ghar jate
baDe-baDon ne guzari hai be-makani mein
ye be-kanar badan kaun par kar paya
bahe chale gae sab log is rawani mein
visal o hijr ki ek ek charagh the donon
siyah ho ke rahe shab ke be-karani mein
bas ek lams ki jal jaen sab KHas-o-KHashak
ise visal bhi kahte hain KHush-bayani mein
kahani KHatm hui tab mujhe KHayal aaya
tere siwa bhi to kirdar the kahani mein
na chahiye mujhe wo aasman jo mera na ho
main KHush hun apni hi miTTi ki aasmani mein
- Book : Mohabbat Kar Ke Dekho Na (Pg. 94)
- Author :Farhat Ehsas
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.