mera akela KHuda yaad aa raha hai mujhe
mirā akelā ḳhudā yaad aa rahā hai mujhe
ye sochtā huā girjā bulā rahā hai mujhe
mujhe ḳhabar hai ki ik musht-e-ḳhāk huuñ phir bhī
tū kyā samajh ke havā meñ uḌā rahā hai mujhe
ye kyā tilism hai kyuuñ raat bhar sisaktā huuñ
vo kaun hai jo diyoñ meñ jalā rahā hai mujhe
usī kā dhyān hai aur pyaas baḌhtī jaatī hai
vo ik sarāb ki sahrā banā rahā hai mujhe
maiñ āñsuoñ meñ nahāyā huā khaḌā huuñ abhī
janam janam kā añdherā bulā rahā hai mujhe
mera akela KHuda yaad aa raha hai mujhe
ye sochta hua girja bula raha hai mujhe
mujhe KHabar hai ki ek musht-e-KHak hun phir bhi
tu kya samajh ke hawa mein uDa raha hai mujhe
ye kya tilism hai kyun raat bhar sisakta hun
wo kaun hai jo diyon mein jala raha hai mujhe
usi ka dhyan hai aur pyas baDhti jati hai
wo ek sarab ki sahra bana raha hai mujhe
main aansuon mein nahaya hua khaDa hun abhi
janam janam ka andhera bula raha hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.