jab se KHat hai siyah-Khaal ki thang
jab se ḳhat hai siyāh-ḳhāl kī thāng
tab se luTtī hai hind chāroñ daañg
baat 'amal kī chalī hī jaatī hai
hai magar auj-bin-unuq kī Taañg
ban jo kuchh ban sake javānī meñ
raat to thoḌī hai bahut hai saañg
'ishq kā shor koī chhuptā hai
nāla-e-andalīb hai gul-bāñg
us zaqan meñ bhī sabzī hai ḳhat kī
dekho jīdhar kuñ.eñ paḌī hai bhāñg
kis tarah un se koī garm mile
sīm-tan pighle jaate haiñ joñ raañg
chalī jaatī hai hasab qadr-e-buland
duur tak us pahāḌ kī hai Daañg
tafra bātil thā tuur par apne
varna jaate ye dauḌ ham bhī phalāñg
maiñ ne kyā us ġhazal ko sahl kiyā
qāfiye hī the us ke ūT-paTāñg
'mīr' bandoñ se kaam kab niklā
māñgnā hai jo kuchh ḳhudā se maañg
jab se KHat hai siyah-KHal ki thang
tab se luTti hai hind chaaron dang
baat 'amal ki chali hi jati hai
hai magar auj-bin-unuq ki Tang
ban jo kuchh ban sake jawani mein
raat to thoDi hai bahut hai sang
'ishq ka shor koi chhupta hai
nala-e-andalib hai gul-bang
us zaqan mein bhi sabzi hai KHat ki
dekho jidhar kunen paDi hai bhang
kis tarah un se koi garm mile
sim-tan pighle jate hain jon rang
chali jati hai hasab qadr-e-buland
dur tak us pahaD ki hai Dang
tafra baatil tha tur par apne
warna jate ye dauD hum bhi phalang
main ne kya us ghazal ko sahl kiya
qafiye hi the us ke uT-paTang
'mir' bandon se kaam kab nikla
mangna hai jo kuchh KHuda se mang
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0263
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.