aah-e-sahar ne sozish-e-dil ko miTa diya
āh-e-sahar ne sozish-e-dil ko miTā diyā
us baav ne hameñ to diyā sā bujhā diyā
samjhī na bād-e-sub.h ki aa kar uThā diyā
is fitna-e-zamāna ko nāhaq jagā diyā
poshīda rāz-e-'ishq chalā jaa.e thā sau aaj
be-tāqatī ne dil kī vo parda uThā diyā
us mauj-ḳhez dahr meñ ham ko qazā ne aah
paanī ke bulbule kī tarah se miTā diyā
thī laag us kī teġh ko ham se sau 'ishq ne
donoñ ko mā'rke meñ gale se milā diyā
sab shor-e-mā-o-man ko liye sar meñ mar ga.e
yāroñ ko is fasāne ne āḳhir sulā diyā
āvārgān-e-ishq kā pūchhā jo maiñ nishāñ
musht-e-ġhubār le ke sabā ne uḌā diyā
ajzā badan ke jitne the paanī ho bah ga.e
āḳhir gudāz 'ishq ne ham ko bahā diyā
kyā kuchh na thā azal meñ na taalā jo the durust
ham ko dil-e-shikasta qazā ne dilā diyā
goyā muhāsba mujhe denā thā 'ishq kā
us taur dil sī chiiz ko maiñ ne lagā diyā
muddat rahegī yaad tire chehre kī jhalak
jalve ko jis ne maah ke jī se bhulā diyā
ham ne to sādgī se kiyā jī kā bhī ziyāñ
dil jo diyā thā so to diyā sar judā diyā
boī kabāb soḳhta aa.ī dimāġh meñ
shāyad jigar bhī ātish-e-ġham ne jilā diyā
taklīf dard-e-dil kī 'abas ham-nashīñ ne kī
dard-e-suḳhan ne mere sabhoñ ko rulā diyā
un ne to teġh khīñchī thī par jī chalā ke 'mīr'
ham ne bhī ek dam meñ tamāshā dikhā diyā
aah-e-sahar ne sozish-e-dil ko miTa diya
us baw ne hamein to diya sa bujha diya
samjhi na baad-e-subh ki aa kar uTha diya
is fitna-e-zamana ko nahaq jaga diya
poshida raaz-e-'ishq chala jae tha sau aaj
be-taqati ne dil ki wo parda uTha diya
us mauj-KHez dahr mein hum ko qaza ne aah
pani ke bulbule ki tarah se miTa diya
thi lag us ki tegh ko hum se sau 'ishq ne
donon ko ma'rke mein gale se mila diya
sab shor-e-ma-o-man ko liye sar mein mar gae
yaron ko is fasane ne aaKHir sula diya
aawargan-e-ishq ka puchha jo main nishan
musht-e-ghubar le ke saba ne uDa diya
ajza badan ke jitne the pani ho bah gae
aaKHir gudaz 'ishq ne hum ko baha diya
kya kuchh na tha azal mein na tala jo the durust
hum ko dil-e-shikasta qaza ne dila diya
goya muhasba mujhe dena tha 'ishq ka
us taur dil si chiz ko main ne laga diya
muddat rahegi yaad tere chehre ki jhalak
jalwe ko jis ne mah ke ji se bhula diya
hum ne to sadgi se kiya ji ka bhi ziyan
dil jo diya tha so to diya sar juda diya
boi kabab soKHta aai dimagh mein
shayad jigar bhi aatish-e-gham ne jila diya
taklif dard-e-dil ki 'abas ham-nashin ne ki
dard-e-suKHan ne mere sabhon ko rula diya
un ne to tegh khinchi thi par ji chala ke 'mir'
hum ne bhi ek dam mein tamasha dikha diya
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0144
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.