rah-e-dur-e-ishq mein rota hai kya
rāh-e-dūr-e-ishq meñ rotā hai kyā
aage aage dekhiye hotā hai kyā
qāfile meñ sub.h ke ik shor hai
ya.anī ġhāfil ham chale sotā hai kyā
sabz hotī hī nahīñ ye sarzamīñ
tuḳhm-e-ḳhvāhish dil meñ tū botā hai kyā
ye nishān-e-ishq haiñ jaate nahīñ
daaġh chhātī ke abas dhotā hai kyā
ġhairat-e-yūsuf hai ye vaqt-e-azīz
'mīr' us ko rā.egāñ khotā hai kyā
rah-e-dur-e-ishq mein rota hai kya
aage aage dekhiye hota hai kya
qafile mein subh ke ek shor hai
yani ghafil hum chale sota hai kya
sabz hoti hi nahin ye sarzamin
tuKHm-e-KHwahish dil mein tu bota hai kya
ye nishan-e-ishq hain jate nahin
dagh chhati ke abas dhota hai kya
ghairat-e-yusuf hai ye waqt-e-aziz
'mir' us ko raegan khota hai kya
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0071
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.