dil jo tha ek aabla phuTa gaya
dil jo thā ik aabla phūTā gayā
raat ko siina bahut kuuTā gayā
tā.ir-e-rañg-e-hinā kī sī tarah
dil na is ke haath se chhūTā gayā
maiñ na kahtā thā ki muñh kar dil kī aur
ab kahāñ vo ā.īna TuuTā gayā
dil kī vīrānī kā kyā mazkūr hai
ye nagar sau martaba luuTā gayā
'mīr' kis ko ab dimāġh-e-guftugū
umr guzrī reḳhta chhūTā gayā
dil jo tha ek aabla phuTa gaya
raat ko sina bahut kuTa gaya
tair-e-rang-e-hina ki si tarah
dil na is ke hath se chhuTa gaya
main na kahta tha ki munh kar dil ki aur
ab kahan wo aaina TuTa gaya
dil ki virani ka kya mazkur hai
ye nagar sau martaba luTa gaya
'mir' kis ko ab dimagh-e-guftugu
umr guzri reKHta chhuTa gaya
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0052
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.