main kaun hun ai ham-nafasan soKHta-jaan hun
maiñ kaun huuñ ai ham-nafasāñ soḳhta-jāñ huuñ
ik aag mire dil meñ hai jo shoa.la-fishāñ huuñ
laayā hai mirā shauq mujhe parde se bāhar
maiñ varna vahī ḳhalvatī-e-rāz-e-nihāñ huuñ
jalva hai mujhī se lab-e-dariyā-e-suḳhan par
sad-rañg mirī mauj hai maiñ tab-e-ravāñ huuñ
panja hai mirā panja-e-ḳhurshīd maiñ har sub.h
maiñ shāna-sifat sāya-e-rū zulf-e-butāñ huuñ
dekhā hai mujhe jin ne so dīvāna hai merā
maiñ bā.is-e-āshuftagī-e-tab-e-jahāñ huuñ
taklīf na kar aah mujhe jumbish-e-lab kī
maiñ sad suḳhan-āġhushta-ba-ḳhūñ zer-e-zabāñ huuñ
huuñ zard ġham-e-tāza-nihālān-e-chaman se
us bāġh-e-ḳhizāñ-dīda meñ maiñ barg-e-ḳhizāñ huuñ
rakhtī hai mujhe ḳhvāhish-e-dil bas-ki pareshāñ
darpai na ho is vaqt ḳhudā jaane kahāñ huuñ
ik vahm nahīñ besh mirī hasti-e-mauhūm
us par bhī tirī ḳhātir-e-nāzuk pe garāñ huuñ
ḳhush-bāshī-o-tanzīya-o-taqaddus the mujhe 'mīr'
asbāb paḌe yuuñ ki ka.ī roz se yaañ huuñ
main kaun hun ai ham-nafasan soKHta-jaan hun
ek aag mere dil mein hai jo shoala-fishan hun
laya hai mera shauq mujhe parde se bahar
main warna wahi KHalwati-e-raaz-e-nihan hun
jalwa hai mujhi se lab-e-dariya-e-suKHan par
sad-rang meri mauj hai main tab-e-rawan hun
panja hai mera panja-e-KHurshid main har subh
main shana-sifat saya-e-ru zulf-e-butan hun
dekha hai mujhe jin ne so diwana hai mera
main bais-e-ashuftagi-e-tab-e-jahan hun
taklif na kar aah mujhe jumbish-e-lab ki
main sad suKHan-aghushta-ba-KHun zer-e-zaban hun
hun zard gham-e-taza-nihaalan-e-chaman se
us bagh-e-KHizan-dida mein main barg-e-KHizan hun
rakhti hai mujhe KHwahish-e-dil bas-ki pareshan
darpai na ho is waqt KHuda jaane kahan hun
ek wahm nahin besh meri hasti-e-mauhum
us par bhi teri KHatir-e-nazuk pe garan hun
KHush-bashi-o-tanziya-o-taqaddus the mujhe 'mir'
asbab paDe yun ki kai roz se yan hun
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0321
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.