mile qatra qatra ye kya zindagi hai
mile qatra qatra ye kyā zindagī hai
ai dariyā-e-rahmat vahī tishnagī hai
azal se mirī tujh se vābastagī hai
terī bandagī hī merī zindagī hai
tujhe maiñ ne pā to liyā mere hamdam
magar dil ye kahtā hai tū ajnabī hai
adhūrī vafāoñ se ummīd rakhnā
hamāre bhī dil kī ajab sādgī hai
basī merī sāñsoñ meñ hai terī ḳhushbū
vahī āgahī hai ki jo be-ḳhudī hai
mile qatra qatra ye kya zindagi hai
ai dariya-e-rahmat wahi tishnagi hai
azal se meri tujh se wabastagi hai
teri bandagi hi meri zindagi hai
tujhe main ne pa to liya mere hamdam
magar dil ye kahta hai tu ajnabi hai
adhuri wafaon se ummid rakhna
hamare bhi dil ki ajab sadgi hai
basi meri sanson mein hai teri KHushbu
wahi aagahi hai ki jo be-KHudi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.