mere lab par koi dua hi nahin
mere lab par koī du'ā hī nahīñ
is karam kī kuchh intihā hī nahīñ
kashti-e-e'tibār toḌ ke dekh
ki ḳhudā bhī hai nā-ḳhudā hī nahīñ
merī hastī gavāh hai ki mujhe
tū kisī vaqt bhūltā hī nahīñ
ab use nā-umīd kyuuñ kahiye
dil ko taufīq-e-mudda.ā hī nahīñ
ġham meñ lazzat kahāñ ki dil na rahā
haa.e vo hasrat-āshna hī nahīñ
vahī tū hai vahī tirī mahfil
ek 'fānī'-e-mubtalā hī nahīñ
mere lab par koi du'a hi nahin
is karam ki kuchh intiha hi nahin
kashti-e-e'tibar toD ke dekh
ki KHuda bhi hai na-KHuda hi nahin
meri hasti gawah hai ki mujhe
tu kisi waqt bhulta hi nahin
ab use na-umid kyun kahiye
dil ko taufiq-e-muddaa hi nahin
gham mein lazzat kahan ki dil na raha
hae wo hasrat-ashna hi nahin
wahi tu hai wahi teri mahfil
ek 'fani'-e-mubtala hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.