wo ki har ahd-e-mohabbat se mukarta jae
vo ki har ahd-e-mohabbat se mukartā jaa.e
dil vo zālim ki usī shaḳhs pe martā jaa.e
mere pahlū meñ vo aayā bhī to ḳhushbū kī tarah
maiñ use jitnā sameTūñ vo bikhartā jaa.e
khulte jaa.eñ jo tire band-e-qabā zulf ke saath
rañg-e-pairāhan-e-shab aur nikhartā jaa.e
ishq kī narm-nigāhī se hinā hoñ ruḳhsār
husn vo husn jo dekhe se nikhartā jaa.e
kyuuñ na ham us ko dil-o-jān se chāheñ 'tishna'
vo jo ik dushman-e-jāñ pyaar bhī kartā jaa.e
wo ki har ahd-e-mohabbat se mukarta jae
dil wo zalim ki usi shaKHs pe marta jae
mere pahlu mein wo aaya bhi to KHushbu ki tarah
main use jitna sameTun wo bikharta jae
khulte jaen jo tere band-e-qaba zulf ke sath
rang-e-pairahan-e-shab aur nikharta jae
ishq ki narm-nigahi se hina hon ruKHsar
husn wo husn jo dekhe se nikharta jae
kyun na hum us ko dil-o-jaan se chahen 'tishna'
wo jo ek dushman-e-jaan pyar bhi karta jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.