mata-e-kausar-o-zamzam ke paimane teri aankhen
matā-e-kausar-o-zamzam ke paimāne tirī āñkheñ
farishtoñ ko banā detī haiñ dīvāne tirī āñkheñ
jahān-e-rañg-o-bū uljhā huā hai un ke Doroñ meñ
lagī haiñ kākul-e-taqdīr suljhāne tirī āñkheñ
ishāroñ se diloñ ko chheḌ kar iqrār kartī haiñ
uThātī haiñ bahār-e-nau ke nazrāne tirī āñkheñ
vo dīvāne zamām-e-lāla-o-gul thaam lete haiñ
jinheñ mansūb kar detī haiñ vīrāne tirī āñkheñ
shagūfoñ ko sharāroñ kā machaltā ruup detī haiñ
haqīqat ko banā detī haiñ afsāne tirī āñkheñ
mata-e-kausar-o-zamzam ke paimane teri aankhen
farishton ko bana deti hain diwane teri aankhen
jahan-e-rang-o-bu uljha hua hai un ke Doron mein
lagi hain kakul-e-taqdir suljhane teri aankhen
ishaaron se dilon ko chheD kar iqrar karti hain
uThati hain bahaar-e-nau ke nazrane teri aankhen
wo diwane zamam-e-lala-o-gul tham lete hain
jinhen mansub kar deti hain virane teri aankhen
shagufon ko shararon ka machalta rup deti hain
haqiqat ko bana deti hain afsane teri aankhen
- Book : Kulliyat-e-Saghar (Pg. 325)
- Author : Saghar Siddiqui
- Publication : Khazina Ilm-O-Adab Al-Kareem Market Urdu Bazar Lahore (2013)
- Edition : 2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.